- Shayari

Shayari – Kyun???

Shayari – Kyun???
Na ki maine jiski justuju na thi dil ko jiski arzu,
Kyun bana dard-e-dil uska rehna mere chaar su..
Jo na tha naseeb main visal-e-yaar to kyun kiya mujhe bekarar,
Kyun khuda hua is kadar meharban laake usko mere ru baru…
Na thi jiski chamak fiza main na thi jiski mehak hawa main,
Kyun wo bas gya mere rom rom main hoke mehw-e-guftugu…
Written By – Mohd Rashid Uzzama

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *